Thursday, May 31, 2018

Mohabbat ki tabbiyat mei....yeh kaisa bachpana qudrat nai rakha hai

MOHABBAT KI TABIYAT ..


Mohabbat ki tabiyat main ye kaisa bachpana qudrat nai rakha hai?.
Keh ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jay,,,,,

Isay tayed e taza ki zaroorat phir bhi rehti hay,,,,
Yaqeen ki aakhri hadon tak dilon main lehlahati ho!

Nigahoon say tapakti ho,,lahoo main jagmagati ho!
Hazaroon terah kay dilkash ,,haseen halay banati ho!

Isay izhaar kay lafzoon ki hajat phir bhi rehti hai,,

Mohabbat mangti hai yoon gawahi apnay honay ki
Keh jaisay tifl e saada sham ko aik beej boay

Aur shabb main baarha utthay ,,
Zameen ko khod kar dekhay ,keh poda ab kahan tak hai,,

Mohabbat ki tabiyat main ajab takrar ki khoo hai?

Keh ye iqrar kay lafzoon ko sunnay say nahi thakti,,
Bichadrnay ki ghadri ho ,ya koi milnay ki saat ho

Isay bas aik hi dhun hai
Kaho mujh say mohabbat hai
Kaho mujh say mohabbat hai
Tumhayn mujh say mohabbat hai,

Samandar say kahin gehri,sitaron say siwa roshan
Piyaron ki terah qaym ,,hawaon ki terah daym,

Zameen say aasmaan tak jis qadar achhay manazir hain
Mohabbat kay kanary hain wafa kay isteaaray hain,,hamaray hain,

Hamaray wastay ye chandni ratayn sanwerti hain,sunehra din nikalta hai,
Mohabbat jis taraf jay zamana sath chalta hai,

Kuch aisi besakooni hai wafa ki sar zameenon main
Jo ehl e mohabbat ko sada bechain rakhti hai,

Keh jaisay phool main khushboo,,
Keh jaisay haath main para
Keh jaisay shaam ka tara

Mohabbat karnay walon ki sehar raton main rehti hai
Gumaan kay shakhchon main aashiyan banta hai ulfat ka

Ye ain wisal main bhi hijar kay khadshoon main rehti hai
Mohabbat kay musafir zindagi jab kaat chuktay hain

Thakan ki kirchiyan chunnay wafa ki ajrakayn pehnay
Samay ki rahguzar ki aakhri sarhad pe ruktay hain

To koi tootti sansoon ki dosri thaam kar
Dheeray say kehta hai,,

Yeh sach hai na ,,,,,,,!!!!
Hamari zindagi aik dosray kay naam likhi thi!!!!

Dhundalka sa jo aankhon kay qareeb o door phela hai
Isi ka naam chahat hai

Tumhayn mujh say mohabbat thi
Tumhayn mujh say mohabbat hai,

No comments:

Post a Comment

Questions related to Patent ductus arteriosus

What is patent ductus arteriosus why is it more common in neonates What is frequency of patent ductus arteriosus opening after fluid bolus d...